zakat ke masail poori tafseel aor detail ke saath kis tarah zakat ada karna chahiye,
Learn Zakat Then Pay It A unique attempt to teach philosophy, basic terms and how to pay Zakat in modern trades through charts and color schemes.
kia zakat tax hai?
Zakat tax nahi balke ala tareen ibadat hai, baaz log usko hukumat ka tax samjhte hain jo intihai ghatia tasawwur hai,isi tarah ye samjhna ghalat hai ke wo zakat adamkar ke ghareebo par ehsan kar rahe hain jab ke ye ehsan nahi hai, pehli ummato me jo mal zakat ke tor par di jati thi wo kisi ke leye isteamal karna jayiz nahin tha wo qurbani kehlata tha aor aasman se aag aakar use raakh kar deti thi aor yahi zakat ki qubuliyat ki alamt samjhi jati thi .
zakat aor tax me farq,
zakat ek ibadat hai, tax ibadat nahi hai, zakat me niyat aor irada zaroori hai jab ke tax me aisa kuch nahi, zakat me ikhlas zaroori hai tax me nahi, zakat ka mal kharch karne ki jagah fix hai jab ke tax sirf sarkari idare ko hi di jati hai, zakat ka isteamal ghair muslimon aor aam kamo me kharch karna jayiz nahi hai zakat jinko di jati hai unka zarooratmand hona zaroori hai zakat ke maal ka ka zaroorat mando ko malik banana aroori hai uski miqdar mutaiyan hai zakat wajib hone ke liye aik had muqarrar hai phir usko ada karne ke liye aik sal ki muddat ka guzarna zaroori hai zakat baaz khaas mal me hi wajib hoti hai har aik me nahi zakat me kisi qism ki tabdili jayiz nahi us ke bar khilaf tax me itni sari koi shart nahi hai.
zakat & Insurance,
Zakat musalmano ki operative society hai, ye unka provident fund hai, ye unki insurance company hai, ye musalmano ke maazoro apahajo bimaro yateemo be saharo ki parwarish ka aik zaria hai uska seedha sada usool ye hai ke aaj tm maldaar ho to doosro ki madad karo kal tum ghareeb ho jao ge to doosre tumhari madad karen ge tum ko ye fikr karne ki zaroorat nahi hai ke ham muflis ho gaye to hamara kiya banega tumhara kam bas itna hai ke apni bachai huwi dolat me se 2.5% allah ki insorance compny my apna bima karalo is waqt tumko is dolat ki zaroorat nahi hai ye unke kam aayegi jozarooratmand hain kal jab tum zaroorat mand ho ge ya tuma\hari aulad ya bivi zaroorat mand hogi to us waqt tumhe tumhara mal wapas mil jayega,
0 Comments